wo dastaken
jo tumhaari poron ne in daron mein unDel di hain
wo aaj bhi
in ke chob-reshon mein jagti hain
tumhaare qadmon ki chap
chup saaton mein bhi
ek ek zarre mein bolti hai
tumhaare lahje ke miThe ghao se
aaj bhi
mere ghar ka kuDel chaTan-sina chhana hua hai
koi na jaane
ki hanste baste gharon ke andar bhi
ghar bane hain
jahan muqaffal hain bite lamhe
sabih din
aur malih raaten
ye waqia hai
ki jo ilaqa tumhaare jalwon ki zad mein aaya
ujaD gaya hai
ujaD aangan tumhaari pahchan hain
yahan
log KHud ko kaise shanaKHtenge
Nazm
Aabaad viraniyan
Waheed Ahmad