اردو हिंदी
Aab o gil | Shaahi Shayari
aab o gil

Nazm

Aab o gil

Shaz Tamkanat

;

mujhe yaad paDta hai ek umr guzri
lagawaT ki shabnam mein lahja Dubo kar

koi mujh ko aawaz deta tha aksar
bulawe ki masumiyat ke sahaare

main aahista aahista pahuncha yahan tak
ba-har samt amboh-e-awar-gan tha

baDe chao se main ne ek ek se puchha
kaho kya tum hi ne pukara tha mujh ko

kaho kya tum hi ne pukara tha mujh ko
magar mujh se amboh-e-awar-gan ne

hirasan hirasan pareshan pareshan
kaha sirf itna nahin wo nahin hum

hamein bhi bula kar koi chhup gaya hai