main bahut KHush hun ki is darja mili daulat-e-gham
itni daulat ki gini jae na rakkhi jae
aur phir kis ko KHabar us ki magar mere siwa
us ka malik bhi nahin koi magar mere siwa
aur daulat bhi ye aisi ki kahin besh-baha
ek ek moti ka hai rang alag shan juda
kyun na ho kitne hi salon ki kamai hai ye
sirf meri nahin pushton ki kamai hai ye
chhoDi ajdad ne aulad ki bari aai
aur aulad bhi aulad ko deti aai
kuchh kami aai na us mein kisi mausam kisi sal
be-hisab ho ke ye baDhti rahi baDhti hi rahi
main bahut KHush hun ki is darja mili daulat-e-gham
mere ajdad mein bhi mujh sa na tha koi amir
meri daulat ke muqabil hain wo sab log faqir
main bahut KHush hun ki is darja mili daulat-e-gham
bhulta hi nahin main apni amiri ka ghurur
mere ajdad amir aur main amir ibne-amir
rashk se hae magar is pe mara jata hun
ki na baDh jae kahin rutba-e-aulad-e-amir
rashk aata hai bahut un pe nasibe darad
Nazm
Wirsa
Daud Ghazi