din jo kahta hai mat sun
dhup kandhon par uThane se bhi haT ja
Dher se ghusse ko apni muTThiyon mein bhar ke le aa
shahr bhar ke munh pe mal de
har taraf kalak hi kalak pot de diwar-o-dar par
din ke sab aasar Dha de
noch le aakash se jalte hue KHurshid ko
dhup ki chadar ko kar de tar tar
aur phir ghar aa ke ho ja be-libas
band ho ja ghar ki andhi koThari mein
band rah lambe samay tak
jab talak suraj tere apne hi kale ghaar se
bahar na jhanke band rah
dhup jab tak koDh ki surat tere kale badan ko
phoD kar bahar na nikle band rah
jab talak ghusse ka kala jhag tujh mein kho na jae
band rah band rah lambe samay tak
ye ghalat-fahmi ki tere band rahne se
yahan kuchh kam hua hai bhul ja
bhiD ke itne baDe jangal mein
kab kuchh kam hua hai
Nazm
Aa ke ho ja be-libas
Fazl Tabish