اردو हिंदी
Aa jaana | Shaahi Shayari
aa jaana

Nazm

Aa jaana

Rajendra Nath Rahbar

;

faza mein dard-agin git lahrae to aa jaana
sukut-e-shab mein koi aah tharrae to aa jaana

jahan ka zarra zarra yas barsae to aa jaana
dar-o-diwar par andoh chha jae to aa jaana

samajh lena koi ro ro ke tujh ko yaad karta hai
samajh lena koi gham ka jahan aabaad karta hai

koi taqdir ka mara hua fariyaad karta hai
teri aankhon mein ashk-e-gham utar aae to aa jaana

dilon ko gudgudae jab tarannum aabshaaron ka
ghaTa barsat ki jab chum le munh kohsaron ka

mulaqaton ke jab din hon zamana ho bahaaron ka
bahaar-e-gul mulaqaton pe uksae to aa jaana

zamana mushkilon ke jal phailae to phailae
qadam baDhte rahen be-dard duniya lakh bahkae

samajhte hain kahin diwangan-e-ishq samjhae
tere honTon pe mera nam aa jae to aa jaana

jhaDi barsat ki jab aag tan man mein lagati ho
gulon ko bulbul-e-nashad haal-e-dil sunati ho

koi birhan kisi ki yaad mein aansu bahati ho
agar aise mein tera dil dhaDak jae to aa jaana