gunjte garajte hue raste par ek aurat
ghar ki qaid se bhagi hui aurat
gard se aTi hui
thaki hui aur Dagmagati hui
udas aur pareshan
duniya ke ajnabi aur be-rahm raste par
ek aurat
mazi se nalan aur bezar
mustaqbil se be-KHabar
haal ke jangal mein akeli
ek aurat
har taraf logon ke hujum
har taraf shor hi shor
lekin us ke andar KHamoshi hai
gunjta garajta hua sannaTa
wo aurat kahan jaegi
kya wo Dar jaegi
Nazm
Nazm
Zahid Dar