wo ja rahi hain saron pe patthar
uThae mazdur aurten kuchh
ye khurdure hath maile panw
jami hain honTon pe papDiyan si
aur pasine mein hain sharabor
sulagti dopahar mein wo mil kar
ek diwar chun rahi hain
hisar-e-sangin banega koi
ye dekh kar haal un ka mujh ko
KHayal rah rah ke aa raha hai
kahan hain wo marmarin si bahen
wo gudgude hath narm-o-nazuk
wo gesu-e-ambarin-o-mushkin
wo tir-e-mizhgan kaman-e-abru
wo lal lab aur wo ru-e-zeba
wo naznin aurten kahan hain
wo mah-jabin aurten kahan hain
wo jin ki tarif karte karte
adib-o-shair nahin hain thakte
Nazm
Mazdur aurten
Fakhr Zaman