abhi faqat tin hi baje hain
abhi to us ki ragon ki kuchh aur raushnai
tani hui mez par paDe
filon ke kaghaz mein jazb hogi
zaruraten
us ke reg-zar-e-hayat ke
nanhe nanhe paudon ki aabiyari
kisi ke nazuk udas honTon pe
muskurahaT ki lala-kari
gudaz banhon ke narm halqe mein
garm sanson ki shab-guzari
zaruraton ka wo ek pujari
jo apne sare lahu ke ghunche
masafat aaftab ke
das se panch tak ke
qabih lamhon ke dewta ke qadam pe
qurban kar raha hai
wo dewta
jis ne sal-ha-sal ki riyazat
aur us ke ilm-o-salahiyat ke gawah
in degreeyon ke alfaz ko
jo is se libas-e-mafhum chahte the
barahnagi di
zaruraten
is ki nanhe paudon
udas honTon
gudaz banhon ki rose ki hain
zaruraton ka wo ek pujari
lahu ke ghunchon ka ye chaDhawa to rose ka hai
abhi faqat tin hi baje hain
Nazm
Qabih lamhon ka dewta
Zaheer Siddiqui