raat bhar kutta us ke peT mein bhaunk raha tha
kaisi kaisi aawazen thin
bhaun bhaun bhaun bhaun
wun wun wun wun
sara kamra us ki pagal aawazon se
wun wun karta hanp raha tha
gaz-bhar lambi surKH zaban bhi
us ke halq se nikal rahi thi
ralen munh se Tapak rahi thin
hilte kan aur hilti dum se
kutta bhaun bhaun bhaun bhaun karta
us ke peT mein bhaunk raha tha
wo soya tha gahri nind mein
kutta sungh ke gosht ki KHushbu
KHwab se yak-dam jag uTha tha
din nikla tha
a-k-shaiKH ab bhure suiT ke andar band tha
zar ki mehrabon ke niche
lamha lamha dauD raha tha
us ke baatin aur KHarij mein
zard jahannam garm hua tha
raat aai hai a-k-shaiKH ab ghar aaya hai
kutta us ke peT mein phir se bhaunk paDega
raat bhar us ke TuTte jism pe
kutta apni dum ko hilata
is kone se us kone tak
bhaunk bhaunk kar ghurraega
munh se ralen Tapkaega
kutta sungh ke gosht ki KHushbu
jism ki diwaron ke upar
dauD dauD ke thak jaega so jaega
din nikla hai
a-k-shaiKH ab nile suiT ke andar band hai
a-k-shaiKH ab kar-gahon ki chhat ke niche
pure zor se chiKH raha hai
a-k-shaiKH ke pure jism pe
zard jahannam phail raha hai
zar ki mehrabon ke niche
kaj-baatin aur pagal kutta dauD raha hai
Nazm
A-k-shaiKH ke peT ka kutta
Tabassum Kashmiri