wo din kaise din the
hawa mujh se kahti
chalo sath mere
chalo donon mil kar tijarat karen
dur ki sar-zaminon ke
logon se
pengen baDhaen
samundar ki maujon ko hum par kar ke
ghane surKH shahron mein maujen uDain
magar main ye kahta
mujhe samt se kuchh bhi lena nahin hai
ki har samt
sahil pe baiThi chaTTanon se
sar phoDti hai
wahin phir chaTTanon ke qadmon mein
dam toDti hai
nahin main ye kahta
mujhe dur deson ko jaana nahin hai
mujhe to samundar ke andar hi rahna hai
wheelon se aur shaarkon se bhare
gahre sagar mein chaaron taraf ghumna hai
mujhe un jaziron se bhi dur rahna hai
jo miThe naghmon siren ka jadu jagae
ghani nind taqsim karne pe mamur hain
hawa mujh se kahti
chalo sath mere
magar main samundar ke namkin pani ka aadi
mujhe kya paDi thi ki main
sar-phiri us hawa ki koi baat sunta
kisi sahili shahr ke pub pub ke andar
lahu aise mashrub ki tah mein
talchhaT ki surat sharabor hota
mujhe kya paDi thi
haTo
surKH mashrub ki tah se
chhanguli pe rakh kar nikalo na mujh ko
dikhao na sab ko
main sagar ka basi
mujhe kya paDi thi
main ek sahili shahr ke pub ke andar
lahu aise mashrub ki tah mein
talchhaT ki surat sharabor hota
mujhe kya paDi thi
Nazm
Tijarati hawa
Wazir Agha