اردو हिंदी
Bachche aur badbu | Shaahi Shayari
bachche aur badbu

Nazm

Bachche aur badbu

Zubair Rizvi

;

bachchon ustadon aur sar-paraston ne
schoolon ke samne barson purane

badbu bhare kuDe-danon ko
haTane ka mutalba

chhoD diya hai
ab bachchon ke nathnon se guzar kar

un ki sanson ka hissa ban jaane wali
badbu

sarkari bhojan ke baad
muft milne wali barfi ban gai hai

kitabon ko paDhte hue
yahi badbu

chokleT ki tarah
chusi jaane lagi hai

ghanTi bajte hi
bachche

din bhar sunghi jaane wali
badbu

kitabon ke bag mein Thuns kar
apne gharon ke aas-pas wale

kuDe-danon ki hatheliyon par
rakh dete hain

aur raat ki chadar tan kar
badbu-bhare KHwab dekhne lagte hain