ai aarzu-e-hayat
ab ki bar jaan bhi chhoD
tujhe KHabar hi nahin kaise din guzarte hain
ai aarzu-e-nafs
ab muaf kar mujh ko
tujhe ye ilm nahin kitni mahngi hain sansen
ki tu to lafz hai
bas ek lafz adh-murda
tere KHamir ki miTTi ka rang lal gulal
sulagti aag ne tujh ko jana hai aur tu KHud
ek aisi banjh hai jis se koi ummid nahin
tu aisa zahr hai jo pi ke koi bhi insan
KHud apne aap ko koi KHuda samajhta hai
tu ek shajar hai jo bas dhup banTta hi rahe
tu ek safar hai jo sadiyon se baDhta jata hai
tu aisa dam hai jo murdon ko zinda karta hai
tu wo karam hai jo har ek karim mangta hai
tu wo talab hai jise KHud KHuda bhi pujte hain
tu wo tarab hai jise KHud KHushi bhi mangti hai
tu mujh ko jitne bhi ab shoKH rang dikhlae
tu chahe zindagi ko mere pas le aae
waqar ab tere qadmon mein girne wala nahin
ai aarzu-e-hayat
ab main pahle wala nahin
Nazm
Aarzu-e-hayat
Waqar Khan