اردو हिंदी
KHata-e-buzurgan | Shaahi Shayari
KHata-e-buzurgan

Nazm

KHata-e-buzurgan

Zubair Rizvi

;

purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai

hua ek bar yun
un ke buzurgon ne

zamin mein kuchh nahin boya
faqat angur ki belen ugain

aur miTTi ke ghaDon mein mai banai
raat jab aai

un ke badan nange the
pahli bar

mai ka zaiqa honTon ne chakkha tha
hikayat hai

barahna dekh kar apne buzurgon ko
jawan beTon ne aankhen band kar lin

aur miTTi ke ghaDon ko toD Dala
subh se pahle

zamin hamwar ki
aur us mein aise bij boe

jin ke phal paude
kabhi un ke buzurgon ke na kaam aae