ajab raat hai hadd-e-nigah tak har-su
athah zahar bhari chandni ki jhil si hai
wara-e-madd-e-nazar kohar hai taKHayyul ki
wara-e-hadd-e-taKHayyul siyah fasil si hai
saman hai hu ka saDak hai saDak ke dono taraf
qatar ta-ba-ufuq hai ghane daraKHton ki
hawa sanakti hai to chaunk chaunk paDti hain
har ek peD mein ruhen si tira-baKHton ki
kuchh aise ghur ke bas gholte hain sannaTe
hawa ke zor se jab Tahniyan ulajhti hain
dhuen se rengte hain tah-ba-tah KHayalon mein
sukut chiKHta hai siTiyan si bajti hain
nazar uThata hun to zawiye nigahon mein
uTha ke dhul sarabon ki jhonk dete hain
qadam baDhata hun to azhdahe hayulon ke
phanon ke tir kaf-e-pa mein Thonk dete hain
jo sans leta hun to sans sans ki lau par
tafakkuraat ki aandhi si chalne lagti hai
jo sochta hun to ehsas ke mahlakon tak
siyahiyon ki ghalazat uchhalne lagti hai
dil-o-nigah pe kitni muhib tezi se
kuchh uljhanon ke siyah-nag reng aae hain
qadam qadam pe hai kitni amiq-e-fikr ki lau
qadam qadam pe meri rah mein kitne sae hain
mata-e-zist mari lakh hech-maya sahi
magar sitare falak ke na jaane kyun yunhi
udas udas nigahon se mujh ko takte hain
bhala ye sae meri rah rok sakte hain
Nazm
2 qahqaha
Takht Singh