ek shair
aur ziyaada shair hone mein
kya farq hai
koi farq nahin
bas yahi kafi hai
ki aap shair hain
phir bhi main is surat-e-haal ko
wazeh taur par samajhna chahta hun
lekin hum ye zaruri nahin samajhte
hamare liye to shair
ziyaada shair ya bahut zyaada shair hona
ek hi baat hai
us ka matlab to ye hua
ki sirf shair hona
aap ke liye
koi ahmiyat hi nahin rakhta
shayad aisa hi ho
lekin aap naraaz na hon
agar shair hain tab bhi
hamare liye
shair hona ya na hona
sab barabar hai
hamein to ye bhi nahin malum
ki shair aur police wale mein se
kaun ziyaada hassas hai
jis shahr mein shairon ki aabaadi
fi-murabba kilometer sab se ziyaada ho
wahan police wale
shairon se ziyaada hassas ho sakte hain
aur phir
police walon ki jaan ko KHatra bhi ziyaada hai
shair to sirf
apne KHwabon hi ko rote rahte hain
unhen kisi baat ki parwa nahin
magar aap ye sab kuchh kyun puchh rahe hain
kaun hain aap
kya karte hain
kahan rahte hain
main KHwab dekhta hun
aur unhin mein rahta hun
fi-murabba kilometer
police walon se ziyaada
shairon ki aabaadi wale
zila-e-sathi ki hudud mein
Nazm
Mukalima zaid se
Zeeshan Sahil