meri guDiya teri ruKHsat ka din bhi aa gaya aaKHir
simaT aaya hai aankhon mein tera bita hua bachpan
abhi kal ki hi baaten hain to ek nannhi si guDiya thi
abhi kal hi to baba se baDi zid kar ke mange the
gulabi rang ke kapDe wo jute titliyon wale
abhi kal hi to laya tha main pahli bar ek chuDi
jise jab tum ne pahna to kalai se baDi nikli
phisal kar hath se tere tujhe ghussa dilati thi
abhi kal hi to baba ko pakaDne bhejti thin tum
kabhi uDti hui chiDiya kabhi tare kabhi chanda
aur ab aisa hai ki waqt-e-judai sar pe aaya hai
teri baraat le kar aa gaya hai tera shahzada
ba-zahir KHush khaDa hun main magar TuTa hai dil mera
baji hai jab se shahnai taD uTTha hai dil mera
mere aangan mein Thahrengi teri yaaden teri baaten
chali jaegi tere sath hi raunaq mere ghar ki
ye mere sath chhup chhup kar hazaron bar roenge
teri ruKHsat pe ai beTi dar-o-diwar roenge
Nazm
RuKHsati
Suhail Sani