ye ghar bahut azim tha
ye ghar bahut hasin tha
ki us ke ird-gird dur dur tak
koi makan us se baDh ke tha nahin
magar yahan ka chakh ajab riwaj tha
the bin-bulae ajnabi
ki jin ka ghar pe raj tha
saje sajae kamre un ke shab-kade
wo sabz lawn phul ki kiyariyan
wasia sahn-o-saiban
the un ke waste magar
KHud apne ghar mein ajnabi
makin chaukhaTon pe
raaten apni kaTte rahe
saDak gali ki KHak chhante rahe
wo bin-bulae ajnabi
gadele bistaraon pe
lazzat-e-shab-o-sahar mein mast mast the
usi tarah na jaane kitni umr kaTne ke baad
rafta rafta
saKHt-o-sard chaukhaTon ne
narm-o-garm bistaraon ki gudgudi
ka zaiqa samajh liya
dimagh-o-dil ki KHushk wadiyon mein
aarzu ke aabshaar gunguna uThe
siyah-baKHt raat
shuur ke junun-e-shauq ke charagh jal gae
charagh se kai charagh jal gae
ba-yak zaban
chaukhaTon se ye mutalba hua
ki ajnabi hamare ghar ko chhoD den
ye ghar hamare KHun
aur hamari haDDiyon se hai
ye baat sun ke shab-kade laraz gae
thi chaunkne ki baat hi
ki sal-KHurda andhi chaukhaTon pe
raushni kahan se aa gai
gali ki KHak
aasman pe abr ban ke chha gai
kahan se zehn-e-na-rasa mein
baat aisi aa gai
wo ajnabi
nawazishon inayaton se
un ka josh sard jab na kar sake
to nit-nai sazaon aur dhamkiyon
gali gali lahu lahu
saDak saDak dhuan dhuan
magar junun-e-shauq ki sada
zamin se aasman
sazaen saKHt thin magar
mutalba aziz tha
nawazishen inayaten
sazaen aur dhamkiyan
sada-e-haq junun-e-shauq damanon ki dhajjiyan
muqabla bhi KHub tha
kahan zamin-e-hirs
aur kahan junun ka aasman
maal-e-kashmakash wahi hua
jo hona chahiye
wo ajnabi chale gae
makin apne ghar ko pa ke
apne ghar ko pa ke
apne ghar mein aa gae
wo ghar ke jis ke waste
laga di apni jaan bhi
jo mil gaya to yun hua
ki jaise kuchh nahin hua
ajib majra hai ab
junun-e-ishq ne charagh-e-arzu jalae the
usi ki tez lau se ye makin
apne ghar ko shauq se jala rahe hain
sabz lawn mein kyariyon ke phul
apne panw se kuchh rahe hain
saeban ke sutun Dha rahe hain
al-gharaz
jo aaj ghar ka haal hai
hamare pas lafz hi nahin
ki hum bayan karen
jo sach kaho to aaj bhi
ye ghar bahut hasin hai
makin hi ajib hain
baDe hi bad-nasib hain
Nazm
Makin hi ajib hain
Zaheer Siddiqui