ashk do-chaar baha lun to chale jaiyega
aatish-e-dil ko bujha lun to chale jaiyega
hasrat-e-did miTa lun to chale jaiyega
husn ko dil mein basa lun to chale jaiyega
hausla gham ka baDha lun to chale jaiyega
marg ko zist bana lun to chale jaiyega
KHatir-e-dost ke unwan ki wazahat kar ke
ek zara dil ko mana lun to chale jaiyega
be-KHudi KHush-basari aur masarrat ke ewaz
gham-e-dauran ko uTha lun to chale jaiyega
mehr-e-ulfat ke hasin lamhe bhula kar ai dost
zauq-e-hasti ko miTa lun to chale jaiyega
talKHi-e-waqt ka shikwa na rahe aap ke baad
bar-e-ehsan uTha lun to chale jaiyega
aap ki chashm-e-karam ne mujhe madhosh kiya
apne ahwal mein aa lun to chale jaiyega
dil jo taDpae mujhe dekhne aa jaen aap
jazb is darja baDha lun to chale jaiyega
Nazm
Hangam-e-ruKHsat
Zahiir Ahmad Taaj