tum ruh ke saz pe git gati raho
main tan ki KHair mangta hun
hamein aazadi ki ye sadi aariyatan mili hai
us ka israf ehtiyat mangega
tum kuchh ehtiyat bacha rakhna
main jangalon ke safar se salamat lauT aaya
to tum se mustaar le lunga ye ehtiyat
tum apne ghar ki angeThi mein kaDkaDati lakDiyon ke koelon se
rakh banana
aur apne lahu lage daman mein kuchh rakh bacha rakhna
main qafila jangalon mein ganwa aaya hun
rakh gum-shuda logon ki ittilaa hai
tum is ittilaa ki hifazat karna
jab main jangalon ke safar se lauTun
to mujhe KHabar karna
hamein aazadi ki ye sadi aariyatan mili hai
us ka israf ehtiyat mangega
tum kuchh ehtiyat bacha rakhna
ehtiyat ba-har-taur zaruri hai
Nazm
Tum ruh ke saz pe
Zahid Hasan