baDi taklif thi tahrir ko manzil pe lane mein
tanaw ka ajab ek jal sa phaila tha chehre par
khinche the abruon mein sidhe KHat
peshani par aaDi lakiren thin
KHamida hote gahe lab
kabhi mizhgan ulajh paDti thin baham
gira kar parda-e-chashm apni aankhon par
gharq ho jati sochon mein
ki afsane mein diwane ka kya anjam likkhun
aur usi mein dopahar Dhal gai
nazar khiDki ki jaanib jab uThi to
dekha sham aati hai azmat se
shajar patte ajab se nur mein raushan hain
shamil hain bahut se rang jis mein
qurmuzi kirnon ne
sabze ko shafaq-gun sa munakis kar ke
malakuti faza mein Dhaal kar
meri nigahon tak baDi ujlat se laya hai
main us ko dekhne mein gar na kuchh pal KHud ko gum karti
to mathe ke shikan chehre pe chhaya ye tanaw
be-sukun aankhen
sabhi mil kar mere dil ko bujha dete
Nazm
Shafaq-gun sabza
Tarannum Riyaz