ai bahadur-lal ai bhaarat suput
tu tha amn-o-ashati ka pasdar
amn ki KHatir gaya tha tashqand
tu ne kar di jaan bhi us par nisar
amn-o-sulh-o-jang mein yakta tha tu
bhaarti tahzib ka aaina-dar
paikar-e-ijz-o-KHulus-o-sadagi
tu tha tahzib-o-tamaddun ka nikhaar
tu ne yak-jihati ata ki qaum ko
ekta ka dan bhaarat ko diya
sar hua uncha hamara har jagah
tu ne wo samman bhaarat ko diya
azm tera aahani diwar tha
salamiyat mulk ki thi teri jaan
shan-e-mulk-o-qaum thi pesh-e-nazar
tujh ko apni jaan se baDh kar thi aan
ho gai gul shama de kar raushni
taqaten amn-o-aman ki DaT gain
zindagi ke sath wabasta hai maut
ye haqiqat hai magar kitni ajib
hum ko ye ehsas hota hi nahin
zindagi se maut hai utni qarib
zulmat-e-shab se sahar ki dilkashi
yas se ummid ka raushan hai nam
maut ke roke bhi ruk sakta nahin
zindagi ka karwan tez gam
hind hai is qafile ka rahnuma
karwan-salar mir-e-karwan
amn-e-alam ka alam-bardar hai
amn-parwar sulh-ju hindostan
Nazm
Shri lal bahadur shastari wazir-e-azam hind
Talib Chakwali