sham tujh par hazar sher kahun
dil ko phir bhi qarar aata nahin
ye tera husn ye halimi teri
teri KHamoshiyan ye mani-KHez
din sameTe to apne aanchal mein
kaise pal pal bikher deti hai rang
aur andhere mein Dub jaane ko
tera kuchh hi ghaDi ka narm wajud
KHushbuen gholta fazaon mein
dosh par yun uDe hawaon ke
jaise tujh ko siwae ulfat ke
aur kuchh bhi nahin sujhai de
kis qadar pur-sukun lagte hain
aa ke teri panah mein ye shajar
sar-bulandi ye kohsaron ki
hui wazeh shafaq mein tere sabab
ho gae naghma-rez sab tair
jaane kab main bhi gungunane lagi
Nazm
Hazar sher
Tarannum Riyaz