اردو हिंदी
Sham ki barish | Shaahi Shayari
sham ki barish

Nazm

Sham ki barish

Tarannum Riyaz

;

kaun se koh ki aaD mein li KHurshid ne ja kar aaj panah
chou-tarfa yalghaar si ki hai abr ne bhi ta-hadd-e-nazar

dhime chalte kale baadal uDti si ujli badli
raqsan raqsan jhalak dikha kar rah jati hai barq kabhi

patton ke jhurmuT mein sae kajlae sharmae se
phul halimi se sar KHam aur kaliyan kuchh sharmai sin

danista barish mein uDte phirte aawara tair
yahan wahan baiThe kitne bhigin chup-chap se KHush ho kar

bijli ki manus kaDak shah-zor garaj ye baadal ki
ab ke hum ne kitni dhupen is mausam ki rah taki