patle patle honTon par hain
aankhon jaisi moTi baaten
aisi baaten kyun karte ho
zulfen sapne
phul aur jazbe
achchha han ek baat batao
kal tum itne chup chup kyun the
KHamoshi se yun lagta tha
jaise sapne TuT rahe hon
mujhe KHabar hai meri KHatir
tum ne kya kiya
kukte kukte Dal se koyal uD jati hai
man ka mandir reza reza ho jata hai
main kya jaanun tum ne kya kya dukh jhele hain
achchha aao wada kar len
aisi baaten nahin karenge
lekin han naraaz na hona
dekh mujh se milte rahna
bolo ab main jaun yahan se
main aur wo ab patthar ke hain
usi jagah par khaDe hue hain
jaane kab se gaDe hue hain
ek patthar mein aawazen hain
ek patthar mein sannaTa hai
sannaTa aawaz ka parda
aawazen sannaTe ka
bolo ab main jaun yahan se
main kahta hun ja sakte ho
Nazm
Dal se koyal uD jati hai
zahid Muneer Amir