israel misr jang mein colonel nasir ke nare
hum beTe firaun ke se mutassir ho kar
yahi wo kohsar hain jahan
musht-e-KHak nur-ashna hui thi
yahi wo zarraat-e-reg hain
jo kisi ke betab walihana qadam
ki Thokar se
kahkashan kahkashan hue the
yahi wo pathrili wadiyan hain
ki jin ki aaghosh-e-KHushk mein
do dhaDakte masum dil mile the
aur aaj har-su
hai dud-e-barud ki rida
jis mein har kiran raushni ki
madum ho gai hai
ujaD sangin wadiyon mein
hawas ka ifrit
gosfandan-e-arz-e-madyan ko
kha gaya hai
na koi bint-e-shoaib hai
aur na rahraw-e-tishna hi hai koi
kuen ke pas mein
jauhari zahr ghul gaya hai
tajalli-e-lam-yazal kahan ki
ye tez sanginon ki chamak hai
kalim hi jab nahin hai koi
kalam kaisa
muhib topon ki ye dhamak hai
kisi ke masum walihana qadam ki
ye kahkashan nahin hai
ye reg-ha-e-zamin hi hain
jo aahani aslahon ki aatish mein tap gae hain
sawad-e-sahil
asa-ba-dast ab nahin hai koi
to moajiza kya tilism kaisa
ye sath-e-dariya-e-nil gul-gu jo ho gai hai
asa ka eajaz to nahin
ye rida-e-KHun hai rida-e-KHun hai
ye KHun kis ka hai
ai dil-e-zud-ranj to kyun udas hai
KHair-o-shar ki ye kashmakash nahin hai
ki donon jaanib hi
aastin-e-hawas mein
firauniyat ke zahrile azhdahe hain
sawad-e-sahil
asa-ba-dast ab nahin hai koi
Nazm
Asa-ba-dast ab nahin hai koi
Zaheer Siddiqui