mere pas
maut ke bahut se options hain
main kisi bhi waqt kahin bhi mara ja sakta hun
mobile chhinne wala naujawan
mujhe TaKHne par goli mar sakta hai
police ke nake par na rukne ki padash mein
mujhe thane ke andar mara ja sakta hai
raat ke pichhle pahar
ghar mein ghusne wala Daku kali jeb hone ke jurm mein
mujhe banduq ke hiT-mark se halak kar sakta hai
ji pi fund ke husul ki KHatir
main
a-g office ki siDhiyan chaDhte chaDhte
dil ke daure se bhi mar sakta hun
aur
kisi gunjaan market ya masjid mein hone wale dhamake mein ba-asani
shahadat pa sakta hun
ab to
ghurbat ki lakir se laTak kar
mere bhuk se marne ke imkanat bhi paida hone lage hain
agarche jang mein kaam aane ka zamana guzar chuka hai
magar baz muqaddas dushman
meri maut ke ewaz jannat ke talabgar hain
meri samaji maut se ab kisi ko koi faeda nahin
hatta ki mujhe bhi nahin
magar plot mafiya ke alawa zaKHira-andoz aur saTTe-baz
meri maut ke muntazir hain
aur
unhon ne mujhe be-tauqir kar ke
saDak par meri KHud-sozi ka rasta kushada kar diya hai
jamhuriyat aur insani huquq ki bazyaft ke liye marna mera KHwab tha
magar
bachchon ki feesen ada karne ke liye aur Time lagane ke bais
mere pas aisi ayyashi ke liye waqt nahin
so
main ba-qaemi hosh-o-hawas aise farsuda nazriyat ko mustarad karta hun
raat der gae
ghar lauTte hue
rah-giri maut mare jaana meri hargiz tarjih nahin
magar us mein harj bhi kya hai
ki us ke ewaz sarkari KHazane se panch lakh rupae milte hain
main
zinda rahne ke imkanat se taqriban mahrum kiya ja chuka hun
magar na-jaane kyun
main zinda rahna chahta hun
Nazm
Qabristan mein KHud-kalami
Zahid Masood