kaun jaane ki ye KHurshid hai na-KHub ki KHub
chand achchha ki bura kaun bata sakta hai
KHush ki na-KHush hain ye shamen ye sitare ye shafaq
kaun ye parda-e-asrar uTha sakta hai
han ye mumkin hai shuaen hon zarar ka bais
kaun kahta hai ujalon se karo kasb-e-ziyan
raushni aag se nikli hai jala sakti hai
baat itni bhi samajh sakte nahin hum insan
ilm mazdur ko fankar bana deta hai
ilm mansur ko hoshiyar bana deta hai
ilm alfaz ko talwar bana deta hai
ilm tinke ko bhi patwar bana deta hai
panw ke chhaale ko rahwar bana deta hai
ek tahi-dast ko salar bana deta hai
raushni gul na karo raat abhi baqi hai
zist samjhi nahin jo baat abhi baqi hai
KHwahish-e-chashma-e-zulmat abhi baqi hai
pae naisan ho jo barsat abhi baqi hai
ilm ek nur hai ye nur bikhar jaane do
subh-e-irfan ko zara aur nikhar jaane do
rah-e-hasti ke KHam-o-pech sanwar jaane do
Nazm
Ilm
Daud Ghazi