waise us tarik jangal ke safar ke qabl bhi
hath mein us ke
yahi ek TimTimata kanpta nanha diya tha
kuchh to shohrat ki hawas ne
aur kuchh ahmaq bahi-KHwahon ne
is ki sada-lauhi ko saza di
us ke tiflana irada ko hawa di
la ke sarhad par KHuda-hafiz kaha
us ke KHizab-aluda sar ko ye saadat di
dhuan khai hui
bad-rang dastar-e-qayaadat di
to wo sina phulae
apni dastar-e-qayamat ko sambhaale
kanpte nanhe diye ko
ek mashal ki tarah uncha uThae
chal paDa tha
ghaaliban wo do-qadam hi ja saka hoga
ki pili aandhiyon ne
dast-e-larzan mein larazte us diye ko
naza ki hichki ata ki
us pe tera
chhin li dastar us ki
us ne aaghaz-e-safar ki sari KHush-fahmi
bikharti dekh kar
jab lauTna chaha
to ye mumkin nahin tha
har taraf tarikiyan thin
dafatan kuchh dur pichhe
us ne dekha
aasman se baat karti dhul ki diwar
baDhti aa rahi hai
aur kuchh qurbat hui to us ne dekha
wo kai the
un ke hathon mein bhaDakti mishalen thin
kasa-e-namnak se us ne
gharaz ki gandagi
jo us ko fitrat mein mili thi
ponchh Dali
aur fauran ghaza-e-masum
ye us ki aadat ban chuki thi
apne chehre par chaDhaya
ek hi maqsad tha yani
dhul uDate qafile se
ek mashal le sake wo
ghaza-e-masumiyat phir kaam aaya
qafila walon ne us ko
ek mashal de ke
apne sath chalne ko kaha
lekin kahan tak
wo nihayat tez-rau aur yak-qadam the
us ke naz paon
sukhi haDDiyon ke zor par kya sath dete
ek qadam ya do-qadam
phir thak gaya wo
rafta rafta
us ki wo mangi hui mashal
KHud apne rang-o-roghan kha rahi thi
ab faqat bhenchi hui mohtat muTThi mein
andhere ki chhaDi thi
baad-o-baran tez tufan
zehn-e-tiflak mein safar ke qabl
un dushwariyon ka
ek halka sa tasawwur bhi nahin tha
ab jo ye bar-aks surat ho gai thi
ro paDa wo
us ki paspai mein lekin hausla tha
daman-e-ummid ab bhi hath mein tha
dafatan us ne ye dekha
dhundli gahri raushniyon ke kai haalon mein
kuchh baDhte qadam nazdik hote ja rahe the
un ke honTon se KHamoshi chhin rahi thi
sust-rau the
phir bhi un ki chaal mein ek tamkanat thi
us ne socha
un nae logon ki tarah tez nahin hai
un ki hamrahi mein
qadmon ki naqahat be-asar hai
aur manzil ek sai-e-muKHtasar hai
ek nai ummid le kar
pusht par murda diye tarik mashal ko chhupa kar
guftugu mein maslahat aamez narmi ghol kar
us ne nae logon se ek mashal talab ki
uf wo kaisa qafila tha
kis tilsmati jahan ke log the wo
is qadar tarik rahon mein
baDi hi tamkanat se chal rahe the
aur hathon mein koi mashal nahin thi
raushni thi
un ki aankhon ke darichon se utar kar
apne qadmon se lipaT kar chalne wali
apni apni raushni thi
us ne socha
un ke qadmon se lipaT kar chalne wali
dhimi dhimi raushni ke aks
kya us ke liye kafi nahin hain
aaj bhi wo
pusht par murda diya tarik mashal ko chhupae
un nae logon ke pichhe
un ke qadmon mein larazti raushniyon ke sahaare
Thokaren khata sambhalta sochta hai
raushni to KHarji shai hai
diya hai
ya bhaDakti mishalen hain
aaKHirash ye raushni
un ajnabi logon ki aankhon se utar kar
un ke qadmon se lipaT kar
chalne wali raushni kaisi hai
kaisi raushni hai
Nazm
Apni apni raushni
Zaheer Siddiqui