main har daur mein janma
baaten har yug ki
dohra sakta hun
mujh se puchho
main suqraat ke honTon par tha
zahr ka pyala
main ne piya tha
aur suqraat mera kab tha
ram ne kab ban-bas liya tha
wo to main tha
chaudah sal to main ne kaTe
jangal jangal sahra sahra
main bhaTka tha
aur lanka tak
tum ko to malum nahin hai
main bhi nuh ki kashti par tha
tum kya jaano
wo kashti to Dub gai thi
us kashti ka koi musafir
kahan bacha tha
bas ek main hi bach nikla tha
mujh se puchho
aur bahut si baaten
main samjha sakta hun
main har daur mein janma
main har daur mein janma
baaten har yug ki
dohra sakta hun
Nazm
Mujhse puchho
Mushtaq Ali Shahid