jab bhi dharti ka koi hissa
tumhein chup sa dikhai de to us ki KHamushi ko
be-hisi ko nam mat do
sard gahri KHamushi ka karb samjho
us ke sine mein dabe lawe ki zinda dhaDkanon ka aks
mumkin hai
tumhein KHud apne aadarshon mein rah rah kar nazar aae
Nazm
Aks
Yaqoob Rahi