chuna hum ne pahaDi rasta
aur samt ka bhaari salasil toD kar
samton ki nairangi se hum waqif hue
ubhri chaTTanon se luDhakne
ghaTiyon se karwaTen lene ki
ek bigDi rawish
hum ne bhi apnai
khaDDon ki tah mein bahte paniyon se
hum ne chalne ka chalan sikha
daraKHton aur phulon se
qataren toDne ki
aur hawa se
munh uTha kar apni marzi se
kai samton mein be-aram hone ki ada sikhi
zaman se hum ne sikha
sab zamanon mein rawan hona
hamein ras aa gaya koson mein chalna
ufuq ki surmai mehrab par nazren jamae
kisi sidhi saDak par
dur ek basti ke sine se lage
barson purane
hichkiyan lete makan ki aur jaane ka junun
maddham paDa
hum baT gae
chiDhon ki shaKHon se utarti katranon mein
chuna hum ne pahaDi rasta
Nazm
Chuna humne pahaDi rasta
Wazir Agha