phul-patte aur jhaDiyan
guzarte waqt ko rok lete hain
pagDanDiyan
galiyan
purane makan
aawazen dene lagte hain
dhup chandni aur andhera
par nae doston ki tarah baaten karte hain
aabai qabristanon ki hawa
in laDkiyon ki payambar ban jati hai
jin se log hamesha ke liye mohabbat karte hain
baat kiye baghair
chehron aur namon mein farq karne ki KHwahish
aankh ki putli par jam jati hai
aur KHushbu zaiqe rang
ragon mein sarayat kar jate hain
ruke hue waqt ki taqat
palaT kar dekhne ke dardnak amal ko KHub-surat bana deti hai
aur zindagi ko
maut par ghaalib karti hai
Nazm
Nostalgia
Zahid Masood