jab bhi jute KHarido
to ye dhyan rakhna
bahut narm hon
saKHt chamDa na ho
aur bhaari na hon
ain mumkin hai ek din tumhein apne logon ke sine pe chalna paDe
un ki ruhen kuchalna paDen un ko taklif utni na ho un mein nafrat ke tufan palne lagen
zahr munh se ugalne lagen
jute kale na hon
warna un ki siyahi dil-o-jaan pe jam jaegi aur baatin mein kuchh KHair hogi
to mar jaegi
un ki eDi mein narmi ho utni
agar panw dharti pe maro to un ki dhamak se go zehni KHaliyon ko nuqsan na ho aur haDDiyan na ho
tasme wale bhi jute na hon
un se sazish ke phande na banne lago aur phansi ki KHatir kahin
apne mohsin na chunne lago
jab bhi jute KHarido

Nazm
Jab bhi jute KHarido
Tauqeer Abbas