qumquma hai ki lab-e-baam liye baiThi hai
tirgi apni hatheli pe ujale ki Dali
jis ko KHud mauj-e-hawa oT kiye baiThi hai
naqsh hairat bani takti hai jise andhi gali
jaise kuchh dur andhere ki kisi an-jaani
shaKH pe KHanda-ba-lab ghuncha KHamoshi ho
raat ki gosh-bar-awaz faza mein jaise
narm narm aanch ki jagi hui sargoshi ho
kash ye qumquma jugnu ki tarah uDne lage
mujh tak aa pahunche tasawwur ki ghani chhanw mein
main chalun rah-e-taKHayyul pe to palken jhapke
TimTimati hui parwaz mere panw mein
jada-e-fikar ki amwaj baDhta baDhta jaun
KHud ko ghere se hue sapnon ki hasinaon mein
uDte talwon ke madhur aks se jhalakata hua
zau ke aaine KHayalat ke dariyaon mein
meri manzil ho koi man ka sunahra Tapu
ghumun ji bhar ke tilismi se kisi ganw mein
Nazm
Qumquma 1
Takht Singh