mahbub ki manind iThlae
mashuq ki surat sharmae
hariyali ka aanchal oDhe
har shaKH hawa mein raqsan hai
main pyar-bhari nazron se unhen
muskati dekhe jati hun
shamon mein peDon ko takna
hai meri nazar ki ayyashi
Nazm
Ayyashi
Tarannum Riyaz

