اردو हिंदी
Aisa kyun hota hai | Shaahi Shayari
aisa kyun hota hai

Nazm

Aisa kyun hota hai

Zubair Rizvi

;

main aksar sochta hun
aisa kyun hota hai

auladon ko
apne bap maen yaad aati hain

to aankhon mein
faqat man bap ke

buDhe sarape hi
ubharte Dubte aur jhilmilate hain

main aksar sochta hun
aisa kyun hota hai

mamta se bharrai
man bap ki aankhon mein

auladen kabhi buDhi nahin hotin