dekho pardon ko achchhi tarah khinch dur
aur sab khiDkiyan band kar do
aur us band kamre se bahar niklo
us mein bosida sofon pe ek moTa kapDa chaDha kar
tum ne un ko is andaz se rakh diya hai
ki ab daen kone mein
ukhDi safedi pe silan ke dhabbe
kam-o-besh nazron se poshida hain
aur baen taraf
TuTe Dibbon
purane KHaton
zang-alud TuTi paleTon
aur bosida pinjron ke ek Dher ko
tum ne ek lambi chauDi si chadar se
achchhi tarah Dhak diya hai
aur ab baqi kamra
baDa saf-suthra nazar aa raha hai
dekho TuTi hui carnas ko bhi
ek shoKH kapDe se Dhak kar
us par wo zar-shamen jala do
ki jin ki sisakti hui raushni mein
tumhaare KHad-o-KHal malum hote hain mauzun
aur kone mein rakhe hue
chhoTe recordplayer par hawa disk rakh do
ki jis mein purani si ek lai mein
bas chand lafzon ki takrar hai
dekho us band kamre se bahar na niklo
kabhi bhul kar bhi
barabar ke kamre mein hargiz na jao
kyun ki wo sal-ha-sal se band hai
ye bhi mumkin hai
zahrile kiDe-makoDe wahan pal rahe hon
ye bhi mumkin hai
ab tak wo bhuton ka ghar ban chuka hai
dekho us band kamre se bahar na niklo
kyun ki mumkin hai ab tak
wo zaKHmi barahna band
bagh ke ek goshe mein dam toDte hon
han agar ho sake to kisi se kaho
un ke KHun-gashta jismon pe
zartar lafzon ki poshak Dhak kar
un ko bahar paDi kursiyon par biTha de
ta ki us rah se koi guzre
to kah de ki sab Thik hai
tum magar phir bhi sab khiDkiyan band rakho
aur pardon ko achchhi tarah khinch do
aur us band kamre se bahar na niklo
dekho us band kamre se bahar na niklo
Nazm
Band kamra
Zahida Zaidi