اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zahid Dar

;

kya tum ne ek aurat ko dekha hai
us ki chhatiyon ke darmiyan ek sanp reng raha hai

us ki ranon ke darmiyan safed pani ka chashma hai
main pyas se mar raha hun

lekin main use hath nahin laga sakta
main ek daraKHt ke andar qaid hun

kya tum ne ek aurat ko dekha hai
main us ko dekh raha hun

wo ek sanp ko kha gai hai
meri KHwahishen us ke peT mein hain

us ne mujhe chhoD diya hai
log taliyan baja rahe hain

ye tamasha azal se jari hai
main intizar kar raha hun

jao use DhunD kar lao
maut mere liye nai nahin hai

main hamesha marta raha hun
lekin meri zindagi KHatm nahin hui

meri KHwahishen us ke andar raqs kar rahi hain
jao mujhe DhunD kar lao

daraKHt ke patte gir rahe hain
hawa chiKH rahi hai

main ne ek aurat ko aasman par uDte hue dekha hai
kya tum ne bhi kuchh dekha hai

agar tumhein kuchh dikhai de to mujhe bhi dikhana
filhaal tum KHamosh raho

tumhaari baaten registan ko sairab nahin kar saktin
KHushk ret meri pyas nahin bujha sakti

us ki ranon ke darmiyan safed pani ka chashma hai
suraj mere sar ke andar chamak raha hai

pagal-pan raqs kar raha hai
baadalon ne use gher liya hai

main mohabbat ke KHwab dekh raha hun
main ek wahime ki aarzu mein marta hun

kya tum ne use dekha hai