pure kumbe se nafrat ya pyar karo
ek se nafrat ek se pyar ye kya hai
log sabhi ek jaise hain
jahil hain to sab jahil hain aalim hain to sab ke sab
zulm kisi ek shaKHs se to maKHsus nahin hai
jis ko tum zalim kahte ho wo bhi
bachpan mein masum tha KHushbu ki manind zarar se KHali
aur jis ko widwan ho kahte us ka zehn
kal tak chaTTe kaghaz jaisa nirmal aur be-dagh tha
zalim ne us kumbe hi mein zulm ki shiksha pai
aur widwan ne bhi ye ulTi sidhi baaten
logon hi se sun kar zehn mein bhar rakhi hain
ye logon ka kumba
ek mahan daraKHt hai hum sab patte hain
hare ya sukhe miThe hain ya kaDwe
apna kya hai
peD ka ras hum sab mein yaksan jari-o-sari hai
Nazm
Logon ka kumba
Zahid Dar