zindagi ek KHwab hai
mere liye mohabbat ka tawil aur aziyyat-nak KHwab
main duniya ke hangamon se ghafil hun
insanon ka shor meri zat ki sarhadon par ruk jata hai
andar aana mana hai
mere dil ka darwaza band hai
mera koi ghar nahin
main apne pagal-pan ke registan mein bhaTak raha hun
main apne andar safar kar raha hun
main bahar nahin nikal sakta
main apni KHwahish ke mutabiq amal nahin kar sakta
main barzaKH mein hun
jannat aur jahannam bahar hain
mere liye bahar sirf ek aurat hai
duniya mere liye nahin hai
main apni tanhai mein qaid hun
haqiqat se be-KHabar aur ghafil
ek aurat ke KHayal mein khoya hua
mohabbat ke tawil aur aziyyat-nak KHwab mein mubtala
ye musalsal jaan-kani ki haalat
kya ye zindagi hai
Nazm
Nazm
Zahid Dar