ai parinde tu hai apni aag mein jalta hua
dur se lekin dhuan uThta nazar aata nahin
aisa lagta hai ki hain shole faza mein har taraf
aasman nila magar dhundla nazar aata nahin
kuchh pata chalta nahin ye sard hai ki garm hai
tere dil ki aag ki lau saKHt hai ki narm hai
kaTti hai dil ke shishe ko ye hire ki tarah
jhilmilati hai samundar mein jazire ki tarah
kashtiyon ke baadban chalte hain is ko dekh kar
aur sitare raat bhar jalte hain is ko dekh kar
phul bhi sham-o-sahar Darte nahin is aag se
raqs ki apne banate hain wo lai is rag se
ai parinde main kisi din pas tere aaunga
aur teri jalti hui is aag mein jal jaunga
Nazm
36
Zeeshan Sahil