KHuda gar hamein ek parinda banata
jahan mein hum ek aashiyana banate
kisi sabz wadi mein apna nasheman
ya sehn-e-chaman ko Thikana banate
kabhi uDte baadal mein hota basera
kabhi Dalte kunj-e-wahshat mein Dera
kabhi daman-e-koh hota hamara
kabhi banta ghar ek nadi ka kinara
kabhi git gate ghaTaon ke niche
kabhi hote pagal hawaon ke pichhe
fazaon mein hum subh se sham karte
andhere se pahle zamin par utarte
koi gulistan mulk hota hamara
hum is ke liye ek tarana banate
KHuda gar hamein ek parinda banata
use hum parinde KHuda na banate
Nazm
34
Zeeshan Sahil