wo ek shab thi safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik
baadalon ki pahli aahaT par
us ne rakh diye honT honTon par
mausiqi ki titli git gane lagi
us ke sanson ke aas-pas
us ki KHushbuon ke ghunghru
baj rahe the us shab
hua ki safed gulabi chhaton par
wo umaD rahi thi
ek tez samundari lahr ki tarah
wo jism par naqsh ho rahi thi
titliyon se bhare hue ek KHwab ki tarah
wo ek shab safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik
shab-bhar baadalon ki halki aur tez aahaTen
aur shab-bhar
honT honTon par
sans sanson par
aur jism jism ki safed gulabi chhaton par
Nazm
Ek raat safed gulabon wale talab ke pas
Tabassum Kashmiri