apni tariKH ke ahramon mein utar kar dekhen
azab-e-musalsal ki ye fasl
hamare pas tariKH ki nishani hai
ya surKH siyahi se hamari nai tariKH likhi ja rahi hai
wo aankhen, wo hath, wo chehre
ab kaun DhunDe?
jinhon ne hadson ko yahan chalna sikhaya
agar wo mil bhi jaen
to unhen kaun pahchanega?
unhon ne to apne chehre sab mein banT diye
ab to har taraf ek jaise hi chehre hain
har koi be-chehra hai
yahan to bas ek hi waqt aa ke Thahra hai
KHasaron ka kaDa pahra hai
magar mumkin hia
be-chehragi ke azab ke us par
hum sab ke chehre qaid hon
jis din sab ko apne chehre mil gae
to dil bhi mil jaenge
Nazm
(3) be-chehragi
Muneer Ahmad Firdaus