ungliyon mein dabi hui cigarette ka
ek aur kash lene se pahle main ne
balcony mein jhanka
wo ab bhi nahin aaya tha
kamre mein chand saat ke liye
be-his-o-harakat khaDa rahna
ajib sa laga aur tab
main ne sulagti hui cigarette ko
jis ke abhi kai aur kash liye ja sakte the
chhoTi si gol mez par buri tarah se masal Dala
dayan hath tezi se ghuma aur
kanch ka KHubsurat gilas mez se uchhal kar
farsh par gira aur chakna-chur ho gaya
aur us se pahle ki main
nokili kirchiyon ko chunne ki cheshTa mein
apne bojhal sharir ko kursi se uThata
wo achanak darwaza khol kar
kamre mein hazir ho gaya
pashemani ke qatre
meri jabin par saf jhalak uThe the
lekin mujhe mahsus hua
ki main unhen rumal mein jazb kar lene ki jurat bhi
kho chuka tha
Nazm
Intizar ke baad
Mushtaq Ali Shahid