aao ki aaj ghaur karen is sawal par
dekhe the hum ne jo wo hasin KHwab kya hue
daulat baDhi to mulk mein aflas kyun baDha
KHush-haali-e-awam ke asbab kya hue
jo apne sath sath chale ku-e-dar tak
wo dost wo rafiq wo ahbab kya hue
kya mol lag raha hai shahidon ke KHun ka
marte the jin pe hum wo saza-yab kya hue
be-kas barahnagi ko kafan tak nahin nasib
wo wada-ha-e-atlas-o-kim-KHwab kya hue
jamhuriyat-nawaz bashar-dost amn-KHwah
KHud ko jo KHud diye the wo alqab kya hue
mazhab ka rog aaj bhi kyun la-ilaj hai
wo nusKHa-ha-e-nadir-o-nayab kya hue
har kucha shoala-zar hai har shahr qatl-gah
yak-jahti-e-hayat ke aadab kya hue
sahra-e-tirgi mein bhaTakti hai zindagi
ubhre the jo ufuq pe wo mahtab kya hue
mujrim hun main agar to gunahgar tum bhi ho
ai rahbaran-e-qaum KHata-kar tum bhi ho
Nazm
26/january
Sahir Ludhianvi