wo ek shai
ki jis ke liye pak tinat buzurgon ne
apne badan zehn ke sare jauhar ganwae
lahu ke guhar
KHar-zaron ki pahnaiyon mein luTae
wo ek shai
jise un jiyale buzurgon ne jeb-o-gareban
dil-o-jaan se bhi baDh ke samjha
jo hasil hui to
abhi baam-o-dar se siyah-raat lipTi hui thi
safar ki thakan ya
giran-bari umr ne
un ke aasab ko muzmahil kar diya tha
unhon ne ye socha
KHuda jaane suraj nikalne talak kya se kya ho
hasin be-baha shai ke haqdar
un ke jawan-sal bachche hain
us ki hifazat wahi kar sakenge
jawan-sal bachche
abhi bistar-e-istirahat pe soe hue the
jagae gae
subh-e-kazib ki dhundlahaTon mein
chamakti hui wo hasin shai
wirasat mein un ko mili thi
magar sab ne dekha tha suraj nikalne pe
un sust-o-chaalak bachchon
ke hathon mein mahfuz-o-qimti shai
ba-tadrij apni chamak kho rahi thi
tilism-e-tasawwur nahin ye haqiqat hai
wo be-baha shai
ki jis ke liye
har saubat gawara hai
manzil nahin
justuju hai
wo ek chiz jis par nichhawar
jiyalon ka raushan lahu hai
faqat rang-o-bu hi nahin
gulistan ki humakti hui aarzu hai
har ek nafa jaez nuqsan ke batn se hai
unhon ne jo hasil kiya wo ziyaada tha
aur aaKHir shab ke kuchh KHwab ko jo ganwaya
wo kam tha
isi na-tanasub husul-o-KHasara ka radd-e-amal hai
ki manzil ki aaghosh mein bhi
unhen sukh nahin hai
Nazm
Hain KHwab mein hunuz
Zaheer Siddiqui