اردو हिंदी
23-march azan-e-subh-e-niyaz | Shaahi Shayari
23-march azan-e-subh-e-niyaz

Nazm

23-march azan-e-subh-e-niyaz

Ashraf Javed

;

wo kya nawa thi
ki jis ki lau se

ufuq raushni ke manzar sanwar gae the
bahaar-e-asar-e-lahn kya tha

ki KHushk shaKHon ke zard chehre
gulab-rangon se dhul gae the

kali kali ke gudaz shanon par KHushbuon ke latif parcham
nae saweron se aashnai ko khil gae the

wahi nawa Dubti shabon mein
azan-e-subh-e-niyaz ban kar

hawa ke honTon pe khelti jab dilon mein utri
to jism ki sarhadon ke us par munjamid tirgi ki shaKHon par

raushni ke gulab ubhre
kiran kiran aaftab ubhre