hum jaan chuke
ki is band kamre mein
hamari sanson par ghuTan-zada faisle likhe jate hain
hamari aarzuon ko bech kar dukh KHaride jate hain
KHauf ko nigahbani ke raaz batae jate hain
aur anaj ke nam par bhuk taqsim ki jati hai
band kamre mein
jo khel khele jate hain
un mein hamari haar likhi jati hai
magar
ab hum ne jaan liya
ki jab tak hamari dastakon ka tufan
is band kamre ko toD nahin deta
is ke andar jari wahshat-nak khel ruk nahin sakta
Nazm
(2) parliament
Muneer Ahmad Firdaus