purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
suna hai jab kabhi shahr-e-saba ke haji-baba
apne shagirdon ko dars-e-aKHiri dete
saron par un ke dastar-e-fazilat bandhte
kale amamon mein sab hi shagird saf-basta khaDe
ye ahd karte the
KHudawanda
hamare ilm mein to KHair-o-barkat de
hamein taufiq de hum haji-baba ki tarah
shahr-e-saba ke chaar konon mein nae maktab banaen
dars-gahon ki bina Dalen
suna hai haji-baba
apne shagirdon ko chaar hisson mein jab taqsim karte to
zamin ke chaar konon se sada-e-marhaba aati
har ek su
mushk ki KHushbu faza mein phail si jati
bahut din baad phir aisa hua tha haji-baba ne
zamin ke chaar konon se dhuan uThte hue dekha
jale harfon ki ruh matam-kunan
shahr-e-saba mein muddaton phirti rahi tanha
suna hai phir kabhi
shahr-e-saba ke haji-baba ne dar-e-maktab nahin khola
kisi par koi kala amama phir nahin bandha
Nazm
Haji-baba
Zubair Rizvi